Us ney kaha mujh sey kitna piyar hai...

Us ney kaha mujh sey kitna piyar hai...
Usney kaha mujh sey kitna piyar hai...

Main ney kaha sitaron ka koi shumar nahin

Us ney kaha k kon tumhen hai bohat aziz ?

Main ney kaha, dil pey jis ka ikhtiyar hai

Us ney kaha Kon sa Tofah tumhen main doon

MAin ne kaha wohi shaam jo abhi tak udhar hai

Us ney kaha Khizan main mulaqat ka jawaz...

Main ney kaha, qurb ka matlab bahar hai......

Us ney kaha senkron gham zindagi main hain

Main ney kaha gham nahin, jab ghamgasar saath hai

Us ney kaha saath kahan tak nibhaon gay...?

Main ney kaha jitni yeh saans ki taar hai......

Us ney kaha mujh ko yaqeen aaye kiss tarah

Main ney kaha, naam mera aitbaar hai....!!!

Us ney kaha mujh sey kitna piyar hai...


LihatTutupKomentar