zindaa houn is tarah ki gam-e-zindagii nahin

zindaa houn is tarah ki gam-e-zindagii nahin
zindaa houn is tarah ki gam-e-zindagii nahin
jalataa huaa diyaa houn magar roshanii nahin

wo muddatein hoien hain kisii se judaa hue
lekin ye dil ki aag abhii tak bujhii nahin

aane ko aa chukaa thaa kinaaraa bhii saamane
Khud usake paas merii hii nayya gaii nahiin

hotoun ke paas aaye hansii , kyaa majaal hai
dil kaa muaamalaa hai koii dillagii nahiin

ye chaand ye havaa ye fizaa, sab hai maand maand
jo tuu nahiin to in mein koii dil-kashii nahiin

zindaa houn is tarah ki gam-e-zindagii nahin




Regards,




!*****Hira*****!
LihatTutupKomentar