90 Heart Touching 2 lines shayari in urdu

90 Heart Touching 2 lines shayari in urdu

husn na mang naseeb mang ae dost
husn wale aksar naseeb walonk ghulam huwa karte hain
90 Heart Touching 2 lines shayari in urdu


khayal unhi k aate hain jin se dil ka rishta ho
har shakhs apna ho jaye sawal hi payda nii hota


matlab k bina kisi ko kon puchta hai
  sahib
bina rooh k toh ghar wale bhi nii rakhte


sanam ajab nasha hai, tere qurb main k jii chahe
ye zindagi teri aaghosh me guzar jaye.......


mein chahon bhi to "wo alfaaz nahin likh paon ga"
jis me bayan ho jaye k "kitni mohabbat hai tum se"


hont ho sakte hain.. lehja to nahin ho sakta
koi bilkul to tere jese nahin ho sakta


mehboob saamne ho or nazar sharam se jhuk jaye
ye mohabbatki sab se haseen ada hoti hai


tareef k mohtaj nii hote sache log
phoolon ko kabhi aetar lagaya nii jata


aek din kaho ge usse kia hwa
kal hi tobaat hui thi meri


mohabbat ibadat ban jati hai aik muddat k baad
shat ye hai k "dil har bar aik hi naam ka wird kare"


aik teri nazar jo mera saath de janan
mein kisi or ko dekhna bhi gunah samjhun


hamein to tmhari sadgi le dubi janan
husnkia hota hai mera khuda jaane

heart touching poetry in urdu 2 lines sms

badnaam krte hain log hamain jis k naam se
qasam se us ko kabhi jii bhar k dekha bhi nahin


kaash koi apna ho aayine k jesa
jo hanse bhi sath or roye bhi sath


jab tak tere sath hun tujhe udaas nii hone dunga
janan
umar bhar ki hushion ka mein wada nii kr sakta


neend ko aaj bhi shikwa hai meri aankhon se
mein ne aane na dia kabhi isko teri yaad se pehle


us ne dekha hai aaj palken utha kar
haye mein kahan jaon itni mohabbat le kar


hath thama hai to mujh par bharosa bhi rakhna
doob jaonga magar tumhain doobne nii dunga


tere baad nazar nii aati mjhe koi manzil
kisi or ka hona meri bas ki baat nii


nahin hota mein tujh se juda bharosa rakh
ye nikah e ishq hai tera haq mehar meri sansen hain


shariik or bhi jalenge
jab tum or mein 1 sath chalenge


dunya ko har khushi chahie
or mujhe har khushi mein bas tum


udaasi tum pe bite gi to tum bhi jaan jao ge
koi nazar andaaz krta hai to kitna dard hota hai


aesi aankhon pe ghazal kehna boht mushkil hai
aesi aankhon pe to qurban jawani hogi


kaash k tumhain khwab hi ajaye
k ham tumhain kitna yaad krte hain


kahan masroof ho gaye ho tum
dil dukhane bhi ab nii aate

two line poetry in urdu

tumhare chaand se chehre pe gham ache nii lagte
hamain kehdo chale jao agar ham ache nii lagte


kuch na kuch bolte raho ham se
chup raho ge to log sun len ge


tujh se harun to jeet jata hun
teri khushian aziz hain itni


tumne dekhi hi nahin hamari phoolon jesi wafa
janan
ham jis par khilte hain usi par murjha bhi jate hain


hazaron se taaluq rakhna koi kamal to nahin
aik taaluq ko sachai se nibhana kamal hai


bara dushwar hota hai kisi ko yun bhula dena
k jab wo jazb ho jaye ragon me khoon ki manind


roo baroo miloge to qail ho jao ge
duur se ham zara maghroor dikhai dete hain


bari mushkil se hoti hai tijarat tere khayalon ki
munafaa kam hi sahi guzara ho hi jata hai


ham ne to aik hi shakhs par mohabbat khatam kar di
ab mohabbat kis ko kehte hain hamein maloom nahin


tum aik hi kasam nibhane se dar gaye
mujhe teri qasam de kar hazaron ne loota


chand chuskion me zindagi jini hai
aone yaar k honton se lagi chai pini hai


haqeeqat kuch or hi hoti hai
har gum sum khara shakhs pagal nii hota


na tu khuda hai na mera ishq farishton jesa
donon insan hain phir q itne hijabon mein milen


q naraz rehte ho meri nadansii harkaton se
kuch din ki to zindagi hai phir chale jayenge hamesha k lie


bas yahi soch kar ziada shikwa nii kia mene
k apni jagah har insan sahi huwa karta hai


sirf tere samne ham khud ko kamzor pate hain
warna jo hamara dil jalate hain ham un ka shehar jalate hain


kisi or ko sochne ki ab gunjayish nahi baqi
bas ab tum pe hi khatam hai ye dastan meri


mein kia kahun k mjhe sabar q nahin ata
mein kia krun k tujhe dekhne ki aadat hai


han! mohabbat tamam us pe hui
ab jo hogi wo dil lagi hogi


kala jora, kali zulfain, kali aankhen...
kala jadoo kar gayi ho apne roshan chehre se...


tum surkh rang ab utar bhi do....
gulab sukh rahe hain jalan k maare


tasaur mein takhlil mein khawabon mein khayalon mein
meri betab nazron ne jidhar dekha tumhain dekha


us ne door rehne ka mashwara bhi likha hai
sath hi mohabbat ka wasta bhi likha hai


deedar yaar ki hasrat bhi kia cheez hai
ghalib
nazar andaz jitna kro nazar musalsal usi par parti hai


meri aankhon mein khawab the hi nahin
meri aankhon mein 1 surat thi


tumhare hote huwe kisi ghair ka dilasa hai
tumhain pata hai ye kitna bara tamacha hai!!!!


chalo mar jate hain tum pe lekin ye to btao
dafan baahon mein karo ge ya siine mein


kitni khubsurat hojati hai zindagi
jab dost, mohabbat, or hamsafar, 1 hi insan ho


hamein kahan aaye ga logon ka dil jeetna
ham to apna bhi haar bethe hain tum par


talab itni hai k dil o jaan mein basa lun tum ko
naseeb aesa hai k deedar bhi mayassar nahin tera


jo jeene ki wajah hai wo bhi tera ishq
a love m
jo jeene nahin deta wo bhi tera ishq


tujh ko yaqeen aaye na aaye ye or baat!!!!
mein tujh se door reh kar bhi tere paas hun


meri baaton mein _________ meri yaadon mein
hisab kr k dekho   behisaab ho tum


tumhara hi haq hai mujh par tumhara hi rahe ga
mohabbat eid nahi jo har kisi k gale mile


baandh lein hath phir seene pe saja lein tum ko
jee mein ata hai k taweez bna lein tum ko


waqt aoron mein bant dete ho
sahib
kia ham tumhare kuch nahin lagte


teri wafa ka samandar kisi or k lie hoga
ham to roz tere sahil se piyase guzar jaate hain


aadhi raat hogai hai ab wahan koi nahin hoga
aaoo ghalib un ki deewar choom aate hain


mein khuda k samne sharminda ho jata hun
jab tum mujhe sajdon mein bhi yaad aate ho


aoron ki nazar mein tum kuch bhi ho
par meri nazar mein tum kisi hoor se kam nahin ho


mere dil k har safhe par
tehreer ho tafseel se tum


us ki aawaz sun loon to mil jaata hai sakoon mere dil ko
dekho to sahi mere dard ka ilaj kese hai


mohabbat libas nahin jo roz badla jaye
mohabbat kafan hai pehen kr utara nii jata


mein ne gulab ki, taaron ki, chaand ki baat ki
is anjuman mein sab ka guman aap par gaya


ham se taaluq rakho tabiat thek rahe gi
ham wo hakeem hain jo lafzon se ilaaj krte hain


saadgi mein rehna hamarebuzurgon ki naseehat hai
warna ham to apne lehje se baadshahon ka bhi sar jhuka dete hain


teri saadgi teri aajzi teri har ada kamal hai
mujhay fakhar hai mujhay naaz hai mera yaar bemisaal hai


kitne hain khuda jaane      rukh yaar k pehlu.....
100 baar ho deedar to      100 baar naya hai


mujhay yaaron ki lambi qataron se matlab nahin
agar tum dil se mukhlis ho to bass 1 tum hi kaafi ho

socha aj kuch _______________ tere siwa sochoon
abhi tak isi soch mein hoon k or kia sochuun


sharab pila kar mujhe madhosh naa kr saqi....
madhosh hi krna hai to mehfil mein zikr yar kar de..

kabhi irada ho chor jaane ka to pehle khabar kr dena
MEHBOOB
tumhain maaloom hai k achanak haadse aksar maut ka sabab bante hain


tum mjhe roz naye tour se chaha karna
han mjhe mohabbat se bezaar na hone dena


meri rooh tarasti hai teri khusboo ko
tum kahin or jo mehko to dard hota hai


dil ko teri chahat pe bharosa bhi boht hai
or tum se bichar jane ka darr bhi nii jata


aesa nii k tere siwa koi nazar nahin aata
darhaqeeqat kisi or ko dekhne ki hasrat nahin rahi


mera naam hi kafi hai teri mehfil mein
ham khud aagye to deewane ho jaoge tum


kisi ko apna banana hunar hi sahi
magar kisi ka ban kr rehna kamal hota hai


jahan jahan nahin imkaan tere aane kaa
wahan wahan bhi tera intizar hota hai

dekh kar chaand ko hi agar hoti hai eid
phir yaqeen mano mein har roz karta hun eid


roz roz na sahi magar kabhi kabhi
wo shakhs bhi mjhe sochta hoga


kahan puri hoti hain dil ki saari khuwahishen
sardi bhi ho" chai bhi ho" or tum bhi ho"


tum se acha nii laga hum ko
raat ko ham ne bhi chaand dekha tha


na jane koun si doulat hai tumhare lehje mein
baat krte ho to ___________ dil khariid lete ho
kia bakhshe jayenge ham log janan
har nama k baad 1 namehram ko maangne wale



naam to likh dun us ka apni har shairi mein
magar phir khayal aata hai masoom sa mera sanam kahin badnam na hojaye


abhi to mene kuch hi lafzon mein tujhe sameta hai
abhin to meri kitabon meinteri tafseer baqi hai  
LihatTutupKomentar