Ghar Virana Tha By John Elia- گھر اک ویرانہ تھا

اب وہ گھر اک ویرانہ تھا بس ویرانہ زندہ تھا
سب آنکھیں دم توڑ چکی تھیں اور میں تنہا زندہ تھا
ساری گلی سنسان پڑی تھی بادِ فنا کے پہرے میں
ہجر کے دلان اور آنگن میں بس ایک سایہ زندہ تھا
وہ جو کبوتر اس موکھے میں رہتے تھے کس دیس اڑے
ایک کا نام نوازندہ تھا اور اک کا بازندہ تھا
وہ دوپہر اپنی رخصت کی ایسا ویسا دھوکا تھی
اپنے اندر اپنی لاش اٹھائے میں جھوٹا زندہ تھا
تھیں وہ گھر راتیں بھی کہانی، وعدے اور پھر دن گننا
آنا تھا جانے والے کو، جانے والا زندہ تھا
دستک دینے والے بھی تھے دستک سننے والے بھی
تھا آباد محلہ سارا ہر دروازہ زندہ تھا
پیلے پتوں کی سہ پہر کی وحشت پرسہ دیتی تھی
آنگن میں اک اوندھے گھڑے پر بس اک کوا زندہ تھا
Check
this out
Magar
Yeh Zakham Hai Ya - مگر یہ زخم یہ مرہم۔۔۔
ab woh ghar ik virana tha bas virana zindah tha
sab ankhen dam toar chuki theen aur mein tanha zindah tha
saari gali sun_saan pari thi baad-e fanaa ke pehray mein
hijar ke dilan aur aangan mein bas aik saya zindah tha
woh jo kabootarr is موکھے mein rehtay they kis dais uray
aik ka naam نوازندہ tha aur ik ka بازندہ tha
woh dopehar apni rukhsat ki aisa waisa dhoka thi
–apne andar apni laash uthaye mein jhoota zindah tha
theen woh ghar raatain bhi kahani, waday aur phir din ginna
aana tha jane walay ko, jane wala zindah tha
dastak dainay walay bhi they dastak suneney walay bhi
tha abad mohalla sara har darwaaza zindah tha
peelay pattoun ki sah pehar ki wehshat پرسہ deti thi
aangan mein ik avndhe gharrey par bas ik kuaa zindah tha