happy birthday wishes in Urdu Shayari for girlfriend
log kehtey hain saalgirah mubarak
mein kehta hoon har din mubarak khush raho
dua hai k zindagi ki har kamyabi pay aap ka naam hoo
aap ke har qadam par duniya ka salam ho
himmat se mushkilo ka saamna karna
taakay waqt bhi aap ka ghulam ho
saalgirah mubarak
Happy Birthday
Shayari For Girlfriend or Boy Friend
tumhari saalgirah pay yeh dua hai meri
ke aisa roz mubarak hazaar baar aaye
tumhari hasti hui zindagi ki raahon mein
hazaron phool lutati hui bahhar aaye
Happy Birthday Wishes In Urdu Shayari For Girlfriend
meri jaan tumhe saalgirah mubarak ho
khusihyan tumhare qareeb hon
gham nah tumhare nazdeek hon
aisi meri jaan tumhe zindagi mubarak ho
har khwahish tumhari poori ho
koi tamanna nah tumhari adhuri ho
aisa din meri jaan tumhe mubarak ho
har dua tumhari qubool ho
aisi ghari tumhe mubarak ho
hum jo den tumhe woh bhi kam ho
Allah tumhe zindagi ki har khushi day
dua hai meri jaan yeh aata rahay sada
tumhe meri jaan aisa din hamesha naseeb ho
saalgirah mubarak
hamesha rehmat rabbi naseeb ho aur zindagi ka har sukh tumhe miley
ameeen
dua ki soorat mein teri khatir
jo mere honton se alfaaz niklay
jo meri aankhon se asshk niklay
unhi ke badlay mein ---- ( Allah )
jab jab bhi tera naseeb likhay
urooj likhay, kamaal likhay
kabhi nah harf zawaal likhay
khusihyan likhay aur teri Umar daraaz likhay
meri jaan tumhe saalgirah mubarak ho